Bharat hai hamara Bharat hai hamara | tarana e hind by shane arab muradabadi

Bharat hai hamara Bharat hai hamara,

Pyaari hai bahut jaan hai ye jaan se pyaara

Bharat hai hamara Bharat hai hamara

Kyun chhod ke is mulk ko ham jaayein kahin par
Haq rakhte hain ham log bhi Bharat ki zameen par
Zinda hain yahin aur marenge bhi yahin par
Har zulm gavaara hai, nahin doori gawaara

Bharat hai hamara Bharat hai hamara

Ma’aloom hai kis Waaste se mashHoor hai Dehli
Kyun ki wahan maujood hain Mehboobe-Ilahi
Dehli mein chala karti hai bas unki hi marzi
Naqsha hi palat jaaye agar kar dein ishaara

Bharat hai hamara Bharat hai hamara

Raja ho, apne waqt ka, ya Shaaho-Sikandar
Dekhe hain chadhaate hue Ajmer mein chaadar
Ajmer mein leta hai koi mast qalandar
Khwaja use kehte hain woh hai sab ka sahaara

Bharat hai hamara Bharat hai hamara

Kehta tha ise sone ki chidiya zamaana
Gaate the sabhi mil ke muhabbat ka tarana
Ab band karo aag ye nafrat ki lagaana
Is aag mein jal jaaye na ye mulk hamaara

Bharat hai hamara Bharat hai hamara

Jo raah mein aati hai woh deewaar gira do
Jo bichhDe hue hain unhe aapas mein mila do
Ae Shane-Arab saare zamaane ko bata do
Ham ek hain, aur ek hi na’Ara hai hamaara

Bharat hai hamara Bharat hai hamara

Naat-Khwan:
Hazrat Shane Arab Muradabadi


bharat hai hamara: ek dil se chhu jaane waala tarana hai jo deshbhakti aur ekta ki gehri bhawnaon ko Wyakt karti hai, Is Tarane mein lekhak ne apne desh ki mitti se gehra lagaav dikhaya hai aur Bharat ko apni aatma ki tarah maana hai, tarana ki panktiyaan hamein yeh Ehsaas dilati hain ki Bharat ki zameen par adhikar sirf deshWasiyon ka hai, aur koi bhi anyaay ya doori hAmse Sahen nahi hogi.

Shayar ne apn tarana ke zariye yeh bataya hai ki ham apne desh se juda nahi ho sakte aur na hi kisi bhi dharmik ya sampradayik bhed-bhaav ko bardasht karenge, Delhi, Ajmer, aur anya jagahon ka zikr karte hue, shayar ne yeh bataya hai ki har jagah ki apni khaasiyat hai aur unka ek saath milkar jeena hi asli Bharat ki khoobsurti hai.

Leave a Comment